meri tanhai ko tanhai ki jaroorat hai..

Photo by Adem Erkoç on Pexels.com

Aaj tanhai ne darwaaze pe dastak di mere, humne bade pyaar se aadar satkar se use apne ghar ke andar bulaya. Usne bhi koi sankoch nahi kiya aur aakar baith gaya mere paas :).. aisa laga ki koi sadiyon purana rishta hai humaara, ekdum apna sa laga woh begaana..

Do puraane yaaron ki tarah kaafi der baatein hui humaari, hanste hanste aakhon mein aasoon aa gae mere, kuch aisi yaadein taza ho gai.. Jab uske jaane ka wakt aaya to bola usne – man nahi hai tumse door jaane ka abhi, Aakhon hi aakhon mein baatein kuch aur der hoti gai humaari..

Meine kaha fir usse, meri tanhai ko tanhai ki jaroorat hai, ab aa gaye ho to theher hi jao.. Woh muskurata hua bol pada – mein yahi to chahta tha, par zubaan bolne se katrati thi, Ab jo tumne keh hi diya hai to saath baith hi jaata hoon, teri tanhayi ko apna saathi humesha kelie bana hi leta hoon…

Leave a comment